8
Zinākār Aurat par Pahlā Patthar
Īsā ḳhud Zaitūn ke pahāṛ par chalā gayā. Agle din pau phaṭte waqt wuh dubārā Baitul-muqaddas meṅ āyā. Wahāṅ sab log us ke gird jamā hue aur wuh baiṭh kar unheṅ tālīm dene lagā. Is daurān sharīat ke ulamā aur Farīsī ek aurat ko le kar āe jise zinā karte waqt pakaṛā gayā thā. Use bīch meṅ khaṛā karke unhoṅ ne Īsā se kahā, “Ustād, is aurat ko zinā karte waqt pakaṛā gayā hai. Mūsā ne sharīat meṅ hameṅ hukm diyā hai ki aise logoṅ ko sangsār karnā hai. Āp kyā kahte haiṅ?” Is sawāl se wuh use phaṅsānā chāhte the tāki us par ilzām lagāne kā koī bahānā un ke hāth ā jāe. Lekin Īsā jhuk gayā aur apnī unglī se zamīn par likhne lagā.
Jab wuh us se jawāb kā taqāzā karte rahe to wuh khaṛā ho kar un se muḳhātib huā, “Tum meṅ se jis ne kabhī gunāh nahīṅ kiyā, wuh pahlā patthar māre.” Phir wuh dubārā jhuk kar zamīn par likhne lagā. Yih jawāb sun kar ilzām lagāne wāle yake bād dīgare wahāṅ se khisak gae. Pahle buzurg, phir bāqī sab. Āḳhirkār Īsā aur darmiyān meṅ khaṛī wuh aurat akele rah gae. 10 Phir us ne khaṛe ho kar kahā, “Ai aurat, wuh sab kahāṅ gae. Kyā kisī ne tujh par fatwā nahīṅ lagāyā?”
11 Aurat ne jawāb diyā, “Nahīṅ Ḳhudāwand.”
Īsā ne kahā, “Maiṅ bhī tujh par fatwā nahīṅ lagātā. Jā, āindā gunāh na karnā.”
Īsā Duniyā kā Nūr Hai
12 Phir Īsā dubārā logoṅ se muḳhātib huā, “Duniyā kā nūr maiṅ hūṅ. Jo merī pairawī kare wuh tārīkī meṅ nahīṅ chalegā, kyoṅki use zindagī kā nūr hāsil hogā.”
13 Farīsiyoṅ ne etarāz kiyā, “Āp to apne bāre meṅ gawāhī de rahe haiṅ. Aisī gawāhī motabar nahīṅ hotī.”
14 Īsā ne jawāb diyā, “Agarche maiṅ apne bāre meṅ hī gawāhī de rahā hūṅ to bhī wuh motabar hai. Kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki maiṅ kahāṅ se āyā hūṅ aur kahāṅ ko jā rahā hūṅ. Lekin tum ko to mālūm nahīṅ ki maiṅ kahāṅ se āyā hūṅ aur kahāṅ jā rahā hūṅ. 15 Tum insānī soch ke mutābiq logoṅ kā faislā karte ho, lekin maiṅ kisī kā bhī faislā nahīṅ kartā. 16 Aur agar faislā karūṅ bhī to merā faislā durust hai, kyoṅki maiṅ akelā nahīṅ hūṅ. Bāp jis ne mujhe bhejā hai mere sāth hai. 17 Tumhārī sharīat meṅ likhā hai ki do ādmiyoṅ kī gawāhī motabar hai. 18 Maiṅ ḳhud apne bāre meṅ gawāhī detā hūṅ jabki dūsrā gawāh Bāp hai jis ne mujhe bhejā.”
19 Unhoṅ ne pūchhā, “Āp kā Bāp kahāṅ hai?” Īsā ne jawāb diyā, “Tum na mujhe jānte ho, na mere Bāp ko. Agar tum mujhe jānte to phir mere Bāp ko bhī jānte.”
20 Īsā ne yih bāteṅ us waqt kīṅ jab wuh us jagah ke qarīb tālīm de rahā thā jahāṅ log apnā hadiyā ḍālte the. Lekin kisī ne use giriftār na kiyā kyoṅki abhī us kā waqt nahīṅ āyā thā.
Jahāṅ Maiṅ Jā Rahā Hūṅ Tum Wahāṅ Nahīṅ Jā Sakte
21 Ek aur bār Īsā un se muḳhātib huā, “Maiṅ jā rahā hūṅ aur tum mujhe ḍhūnḍ ḍhūnḍ kar apne gunāhoṅ meṅ mar jāoge. Jahāṅ maiṅ jā rahā hūṅ wahāṅ tum nahīṅ pahuṅch sakte.”
22 Yahūdiyoṅ ne pūchhā, “Kyā wuh ḳhudkushī karnā chāhtā hai? Kyā wuh isī wajah se kahtā hai, ‘Jahāṅ maiṅ jā rahā hūṅ wahāṅ tum nahīṅ pahuṅch sakte’?”
23 Īsā ne apnī bāt jārī rakhī, “Tum nīche se ho jabki maiṅ ūpar se hūṅ. Tum is duniyā ke ho jabki maiṅ is duniyā kā nahīṅ hūṅ. 24 Maiṅ tum ko batā chukā hūṅ ki tum apne gunāhoṅ meṅ mar jāoge. Kyoṅki agar tum īmān nahīṅ lāte ki maiṅ wuhī hūṅ to tum yaqīnan apne gunāhoṅ meṅ mar jāoge.”
25 Unhoṅ ne sawāl kiyā, “Āp kaun haiṅ?”
Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ wuhī hūṅ jo maiṅ shurū se hī batātā āyā hūṅ. 26 Maiṅ tumhāre bāre meṅ bahut kuchh kah saktā hūṅ. Bahut-sī aisī bāteṅ haiṅ jin kī binā par maiṅ tum ko mujrim ṭhahrā saktā hūṅ. Lekin jis ne mujhe bhejā hai wuhī sachchā aur motabar hai aur maiṅ duniyā ko sirf wuh kuchh sunātā hūṅ jo maiṅ ne us se sunā hai.”
27 Sunane wāle na samjhe ki Īsā Bāp kā zikr kar rahā hai. 28 Chunāṅche us ne kahā, “Jab tum Ibn-e-Ādam ko ūṅche par chaṛhāoge tab hī tum jān loge ki maiṅ wuhī hūṅ, ki maiṅ apnī taraf se kuchh nahīṅ kartā balki sirf wuhī sunātā hūṅ jo Bāp ne mujhe sikhāyā hai. 29 Aur jis ne mujhe bhejā hai wuh mere sāth hai. Us ne mujhe akelā nahīṅ chhoṛā, kyoṅki maiṅ har waqt wuhī kuchh kartā hūṅ jo use pasand ātā hai.”
30 Yih bāteṅ sun kar bahut-se log us par īmān lāe.
Sachchāī Tum ko Āzād Karegī
31 Jo Yahūdī us kā yaqīn karte the Īsā ab un se hamkalām huā, “Agar tum merī tālīm ke tābe rahoge tab hī tum mere sachche shāgird hoge. 32 Phir tum sachchāī ko jān loge aur sachchāī tum ko āzād kar degī.”
33 Unhoṅ ne etarāz kiyā, “Ham to Ibrāhīm kī aulād haiṅ, ham kabhī bhī kisī ke ġhulām nahīṅ rahe. Phir āp kis tarah kah sakte haiṅ ki ham āzād ho jāeṅge?”
34 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo bhī gunāh kartā hai wuh gunāh kā ġhulām hai. 35 Ġhulām to ārizī taur par ghar meṅ rahtā hai, lekin mālik kā beṭā hameshā tak. 36 Is lie agar Farzand tum ko āzād kare to tum haqīqatan āzād hoge. 37 Mujhe mālūm hai ki tum Ibrāhīm kī aulād ho. Lekin tum mujhe qatl karne ke darpai ho, kyoṅki tumhāre andar mere paiġhām ke lie gunjāish nahīṅ hai. 38 Maiṅ tum ko wuhī kuchh batātā hūṅ jo maiṅ ne Bāp ke hāṅ dekhā hai, jabki tum wuhī kuchh sunāte ho jo tum ne apne Bāp se sunā hai.”
39 Unhoṅ ne kahā, “Hamārā bāp Ibrāhīm hai.” Īsā ne jawāb diyā, “Agar tum Ibrāhīm kī aulād hote to tum us ke namūne par chalte. 40 Is ke bajāe tum mujhe qatl karne kī talāsh meṅ ho, is lie ki maiṅ ne tum ko wuhī sachchāī sunāī hai jo maiṅ ne Allāh ke huzūr sunī hai. Ibrāhīm ne kabhī bhī is qism kā kām na kiyā. 41 Nahīṅ, tum apne bāp kā kām kar rahe ho.”
Unhoṅ ne etarāz kiyā, “Ham harāmzāde nahīṅ haiṅ. Allāh hī hamārā wāhid Bāp hai.”
42 Īsā ne un se kahā, “Agar Allāh tumhārā Bāp hotā to tum mujh se muhabbat rakhte, kyoṅki maiṅ Allāh meṅ se nikal āyā hūṅ. Maiṅ apnī taraf se nahīṅ āyā balki usī ne mujhe bhejā hai. 43 Tum merī zabān kyoṅ nahīṅ samajhte? Is lie ki tum merī bāt sun nahīṅ sakte. 44 Tum apne bāp Iblīs se ho aur apne bāp kī ḳhāhishoṅ par amal karne ke ḳhāhāṅ rahte ho. Wuh shurū hī se qātil hai aur sachchāī par qāym na rahā, kyoṅki us meṅ sachchāī hai nahīṅ. Jab wuh jhūṭ boltā hai to yih fitrī bāt hai, kyoṅki wuh jhūṭ bolne wālā aur jhūṭ kā bāp hai. 45 Lekin maiṅ sachchī bāteṅ sunātā hūṅ aur yihī wajah hai ki tum ko mujh par yaqīn nahīṅ ātā. 46 Kyā tum meṅ se koī sābit kar saktā hai ki mujh se koī gunāh sarzad huā hai? Maiṅ to tum ko haqīqat batā rahā hūṅ. Phir tum ko mujh par yaqīn kyoṅ nahīṅ ātā? 47 Jo Allāh se hai wuh Allāh kī bāteṅ suntā hai. Tum yih is lie nahīṅ sunte ki tum Allāh se nahīṅ ho.”
Īsā aur Ibrāhīm
48 Yahūdiyoṅ ne jawāb diyā, “Kyā ham ne ṭhīk nahīṅ kahā ki tum Sāmarī ho aur kisī badrūh ke qabze meṅ ho?”
49 Īsā ne kahā, “Maiṅ badrūh ke qabze meṅ nahīṅ hūṅ balki apne Bāp kī izzat kartā hūṅ jabki tum merī be'izzatī karte ho. 50 Maiṅ ḳhud apnī izzat kā ḳhāhāṅ nahīṅ hūṅ. Lekin ek hai jo merī izzat aur jalāl kā ḳhayāl rakhtā aur insāf kartā hai. 51 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo bhī mere kalām par amal kartā rahe wuh maut ko kabhī nahīṅ dekhegā.”
52 Yih sun kar logoṅ ne kahā, “Ab hameṅ patā chal gayā hai ki tum kisī badrūh ke qabze meṅ ho. Ibrāhīm aur nabī sab intaqāl kar gae jabki tum dāwā karte ho, ‘Jo bhī mere kalām par amal kartā rahe wuh maut kā mazā kabhī nahīṅ chakhegā.’ 53 Kyā tum hamāre bāp Ibrāhīm se baṛe ho? Wuh mar gayā, aur nabī bhī mar gae. Tum apne āp ko kyā samajhte ho?”
54 Īsā ne jawāb diyā, “Agar meṅ apnī izzat aur jalāl baṛhātā to merā jalāl bātil hotā. Lekin merā Bāp hī merī izzat-o-jalāl baṛhātā hai, wuhī jis ke bāre meṅ tum dāwā karte ho ki ‘Wuh hamārā Ḳhudā hai.’ 55 Lekin haqīqat meṅ tum ne use nahīṅ jānā jabki maiṅ use jāntā hūṅ. Agar maiṅ kahtā ki maiṅ use nahīṅ jāntā to maiṅ tumhārī tarah jhūṭā hotā. Lekin maiṅ use jāntā aur us ke kalām par amal kartā hūṅ. 56 Tumhāre bāp Ibrāhīm ne ḳhushī manāī jab use mālūm huā ki wuh merī āmad kā din dekhegā, aur wuh use dekh kar masrūr huā.”
57 Yahūdiyoṅ ne etarāz kiyā, “Tumhārī umr to abhī pachās sāl bhī nahīṅ, to phir tum kis tarah kah sakte ho ki tum ne Ibrāhīm ko dekhā hai?”
58 Īsā ne un se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, Ibrāhīm kī paidāish se peshtar ‘Maiṅ hūṅ.’ ”
59 Is par log use sangsār karne ke lie patthar uṭhāne lage. Lekin Īsā ġhāyb ho kar Baitul-muqaddas se nikal gayā.