113
Allāh kī Azmat aur Mehrbānī
Rab kī hamd ho! Ai Rab ke ḳhādimo, Rab ke nām kī satāish karo, Rab ke nām kī tārīf karo.
Rab ke nām kī ab se abad tak tamjīd ho.
Tulū-e-subah se ġhurūb-e-āftāb tak Rab ke nām kī hamd ho.
Rab tamām aqwām se sarbuland hai, us kā jalāl āsmān se azīm hai.
Kaun Rab hamāre Ḳhudā kī mānind hai jo bulandiyoṅ par taḳhtnashīn hai
aur āsmān-o-zamīn ko deḳhne ke lie nīche jhuktā hai?
Pasthāl ko wuh ḳhāk meṅ se uṭhā kar pāṅwoṅ par khaṛā kartā, muhtāj ko rākh se nikāl kar sarfarāz kartā hai.
Wuh use shurafā ke sāth, apnī qaum ke shurafā ke sāth biṭhā detā hai.
Bāṅjh ko wuh aulād atā kartā hai tāki wuh ghar meṅ ḳhushī se zindagī guzār sake. Rab kī hamd ho!