114
Misr meṅ Allāh ke Mojizāt
Jab Isrāīl Misr se rawānā huā aur Yāqūb kā gharānā ajnabī zabān bolne wālī qaum se nikal āyā
to Yahūdāh Allāh kā maqdis ban gayā aur Isrāīl us kī bādshāhī.
Yih dekh kar samundar bhāg gayā aur Dariyā-e-Yardan pīchhe haṭ gayā.
Pahāṛ menḍhoṅ kī tarah kūdne aur pahāṛiyāṅ jawān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagīṅ.
 
Ai samundar, kyā huā ki tū bhāg gayā hai? Ai Yardan, kyā huā ki tū pīchhe haṭ gayā hai?
Ai pahāṛo, kyā huā ki tum menḍhoṅ kī tarah kūdne lage ho? Ai pahāṛiyo, kyā huā ki tum jawān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagī ho?
Ai zamīn, Rab ke huzūr, Yāqūb ke Ḳhudā ke huzūr laraz uṭh,
us ke sāmne thartharā jis ne chaṭān ko johaṛ meṅ aur saḳht patthar ko chashme meṅ badal diyā.