122
Yarūshalam par Barkat
Dāūd kā ziyārat kā gīt.
Maiṅ un se ḳhush huā jinhoṅ ne mujh se kahā, “Āo, ham Rab ke ghar chaleṅ.”
Ai Yarūshalam, ab hamāre pāṅw tere darwāzoṅ meṅ khaṛe haiṅ.
Yarūshalam Shahr yoṅ banāyā gayā hai ki us ke tamām hisse mazbūtī se ek dūsre ke sāth juṛe hue haiṅ.
Wahāṅ qabīle, hāṅ Rab ke qabīle hāzir hote haiṅ tāki Rab ke nām kī satāish kareṅ jis tarah Isrāīl ko farmāyā gayā hai.
Kyoṅki wahāṅ taḳht-e-adālat karne ke lie lagāe gae haiṅ, wahāṅ Dāūd ke gharāne ke taḳht haiṅ.
Yarūshalam ke lie salāmatī māṅgo! “Jo tujh se pyār karte haiṅ wuh sukūn pāeṅ.
Terī fasīl meṅ salāmatī aur tere mahaloṅ meṅ sukūn ho.”
Apne bhāiyoṅ aur hamsāyoṅ kī ḳhātir maiṅ kahūṅgā, “Tere andar salāmatī ho!”
Rab hamāre Ḳhudā ke ghar kī ḳhātir maiṅ terī ḳhushhālī kā tālib rahūṅgā.