123
Allāh Ham par Mehrbānī Kare
Ziyārat kā gīt.
Maiṅ apnī āṅkhoṅ ko terī taraf uṭhātā hūṅ, terī taraf jo āsmān par taḳhtnashīn hai.
Jis tarah ġhulām kī āṅkheṅ apne mālik ke hāth kī taraf aur launḍī kī āṅkheṅ apnī mālikan ke hāth kī taraf lagī rahtī haiṅ usī tarah hamārī āṅkheṅ Rab apne Ḳhudā par lagī rahtī haiṅ, jab tak wuh ham par mehrbānī na kare.
Ai Rab, ham par mehrbānī kar, ham par mehrbānī kar! Kyoṅki ham had se zyādā hiqārat kā nishānā ban gae haiṅ.
Sukūn se zindagī guzārne wāloṅ kī lān-tān aur maġhrūroṅ kī tahqīr se hamārī jān dūbhar ho gaī hai.