35
Sharīroṅ ke Hamloṅ se Rihāī ke lie Duā
Dāūd kā zabūr.
Ai Rab, un se jhagaṛ jo mere sāth jhagaṛte haiṅ, un se laṛ jo mere sāth laṛte haiṅ.
Lambī aur chhoṭī ḍhāl pakaṛ le aur uṭh kar merī madad karne ā.
Neze aur barchhī ko nikāl kar unheṅ rok de jo merā tāqqub kar rahe haiṅ! Merī jān se farmā, “Maiṅ terī najāt hūṅ!”
Jo merī jān ke lie koshāṅ haiṅ un kā muṅh kālā ho jāe, wuh ruswā ho jāeṅ. Jo mujhe musībat meṅ ḍālne ke mansūbe bāndh rahe haiṅ wuh pīchhe haṭ kar sharmindā hoṅ.
Wuh hawā meṅ bhūse kī tarah uṛ jāeṅ jab Rab kā farishtā unheṅ bhagā de.
Un kā rāstā tārīk aur phisalnā ho jab Rab kā farishtā un ke pīchhe paṛ jāe.
Kyoṅki unhoṅ ne besabab aur chupke se mere rāste meṅ jāl bichhāyā, bilāwajah mujhe pakaṛne kā gaṛhā khodā hai.
Is lie tabāhī achānak hī un par ā paṛe, pahle unheṅ patā hī na chale. Jo jāl unhoṅ ne chupke se bichhāyā us meṅ wuh ḳhud ulajh jāeṅ, jis gaṛhe ko unhoṅ ne khodā us meṅ wuh ḳhud gir kar tabāh ho jāeṅ.
 
Tab merī jān Rab kī ḳhushī manāegī aur us kī najāt ke bāis shādmān hogī.
10 Mere tamām āzā kah uṭheṅge, “Ai Rab, kaun terī mānind hai? Koī bhī nahīṅ! Kyoṅki tū hī musībatzadā ko zabardast ādmī se chhuṭkārā detā, tū hī nāchār aur ġharīb ko lūṭne wāle ke hāth se bachā letā hai.”
 
11 Zālim gawāh mere ḳhilāf uṭh khaṛe ho rahe haiṅ. Wuh aisī bātoṅ ke bāre meṅ merī pūchh-gachh kar rahe haiṅ jin se maiṅ wāqif hī nahīṅ.
12 Wuh merī nekī ke ewaz mujhe nuqsān pahuṅchā rahe haiṅ. Ab merī jān tan-e-tanhā hai.
13 Jab wuh bīmār hue to maiṅ ne ṭāṭ oṛh kar aur rozā rakh kar apnī jān ko dukh diyā. Kāsh merī duā merī god meṅ wāpas āe!
14 Maiṅ ne yoṅ mātam kiyā jaise merā koī dost yā bhāī ho. Maiṅ mātamī libās pahan kar yoṅ ḳhāk meṅ jhuk gayā jaise apnī māṅ kā janāzā ho.
 
15 Lekin jab maiṅ ḳhud ṭhokar khāne lagā to wuh ḳhush ho kar mere ḳhilāf jamā hue. Wuh mujh par hamlā karne ke lie ikaṭṭhe hue, aur mujhe mālūm hī nahīṅ thā. Wuh mujhe phāṛte rahe aur bāz na āe.
16 Musalsal kufr bak bak kar wuh merā mazāq uṛāte, mere ḳhilāf dāṅt pīste the.
17 Ai Rab, tū kab tak ḳhāmoshī se deḳhtā rahegā? Merī jān ko un kī tabāhkun harkatoṅ se bachā, merī zindagī ko jawān sheroṅ se chhuṭkārā de.
18 Tab maiṅ baṛī jamāt meṅ terī satāish aur baṛe hujūm meṅ terī tārīf karūṅga.
19 Unheṅ mujh par baġhleṅ bajāne na de jo besabab mere dushman haiṅ. Unheṅ mujh par nāk-bhauṅ chaṛhāne na de jo bilāwajah mujh se kīnā rakhte haiṅ.
20 Kyoṅki wuh ḳhair aur salāmatī kī bāteṅ nahīṅ karte balki un ke ḳhilāf farebdeh mansūbe bāndhte haiṅ jo amn aur sukūn se mulk meṅ rahte haiṅ.
21 Wuh muṅh phāṛ kar kahte haiṅ, “Lo jī, ham ne apnī āṅkhoṅ se us kī harkateṅ dekhī haiṅ!”
22 Ai Rab, tujhe sab kuchh nazar āyā hai. Ḳhāmosh na rah! Ai Rab, mujh se dūr na ho.
23 Ai Rab mere Ḳhudā, jāg uṭh. Mere difā meṅ uṭh kar un se laṛ!
24 Ai Rab mere Ḳhudā, apnī rāstī ke mutābiq merā insāf kar. Unheṅ mujh par baġhleṅ bajāne na de.
25 Wuh dil meṅ na socheṅ, “Lo jī, hamārā irādā pūrā huā hai!” Wuh na boleṅ, “Ham ne use haṛap kar liyā hai.”
26 Jo merā nuqsān dekh kar ḳhush hue un sab kā muṅh kālā ho jāe, wuh sharmindā ho jāeṅ. Jo mujhe dabā kar apne āp par faḳhr karte haiṅ wuh sharmindagī aur ruswāī se mulabbas ho jāeṅ.
 
27 Lekin jo mere insāf ke ārzūmand haiṅ wuh ḳhush hoṅ aur shādiyānā bajāeṅ. Wuh kaheṅ, “Rab kī baṛī tārīf ho, jo apne ḳhādim kī ḳhairiyat chāhtā hai.”
28 Tab merī zabān terī rāstī bayān karegī, wuh sārā din terī tamjīd kartī rahegī.