86
Musībat meṅ Duā
Dāūd kī duā.
Ai Rab, apnā kān jhukā kar merī sun, kyoṅki maiṅ musībatzadā aur muhtāj hūṅ.
Merī jān ko mahfūz rakh, kyoṅki maiṅ īmāndār hūṅ. Apne ḳhādim ko bachā jo tujh par bharosā rakhtā hai. Tū hī merā Ḳhudā hai!
Ai Rab, mujh par mehrbānī kar, kyoṅki din-bhar maiṅ tujhe pukārtā hūṅ.
Apne ḳhādim kī jān ko ḳhush kar, kyoṅki maiṅ terā ārzūmand hūṅ.
Kyoṅki tū ai Rab bhalā hai, tū muāf karne ke lie taiyār hai. Jo bhī tujhe pukārte haiṅ un par tū baṛī shafqat kartā hai.
Ai Rab, merī duā sun, merī iltijāoṅ par tawajjuh kar.
Musībat ke din maiṅ tujhe pukārtā hūṅ, kyoṅki tū merī suntā hai.
 
Ai Rab, mābūdoṅ meṅ se koī terī mānind nahīṅ hai. Jo kuchh tū kartā hai koī aur nahīṅ kar saktā.
Ai Rab, jitnī bhī qaumeṅ tū ne banāīṅ wuh ā kar tere huzūr sijdā kareṅgī aur tere nām ko jalāl deṅgī.
10 Kyoṅki tū hī azīm hai aur mojize kartā hai. Tū hī Ḳhudā hai.
 
11 Ai Rab, mujhe apnī rāh sikhā tāki terī wafādārī meṅ chalūṅ. Baḳhsh de ki maiṅ pūre dil se terā ḳhauf mānūṅ.
12 Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ pūre dil se terā shukr karūṅga, hameshā tak tere nām kī tāzīm karūṅga.
13 Kyoṅki terī mujh par shafqat azīm hai, tū ne merī jān ko Pātāl kī gahrāiyoṅ se chhuṛāyā hai.
 
14 Ai Allāh, maġhrūr mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ, zālimoṅ kā jatthā merī jān lene ke darpai hai. Yih log terā lihāz nahīṅ karte.
15 Lekin tū, ai Rab, rahīm aur mehrbān Ḳhudā hai. Tū tahammul, shafqat aur wafā se bharpūr hai.
16 Merī taraf rujū farmā, mujh par mehrbānī kar! Apne ḳhādim ko apnī quwwat atā kar, apnī ḳhādimā ke beṭe ko bachā.
17 Mujhe apnī mehrbānī kā koī nishān dikhā. Mujh se nafrat karne wāle yih dekh kar sharmindā ho jāeṅ ki tū Rab ne merī madad karke mujhe tasallī dī hai.