87
Siyyūn Aqwām kī Māṅ Hai
Qorah kī aulād kā zabūr. Gīt.
Us kī buniyād muqaddas pahāṛoṅ par rakhī gaī hai.
Rab Siyyūn ke darwāzoṅ ko Yāqūb kī dīgar ābādiyoṅ se kahīṅ zyādā pyār kartā hai.
 
Ai Allāh ke shahr, tere bāre meṅ shāndār bāteṅ sunāī jātī haiṅ. (Silāh)
Rab farmātā hai, “Maiṅ Misr aur Bābal ko un logoṅ meṅ shumār karūṅga jo mujhe jānte haiṅ.” Filistiyā, Sūr aur Ethopiyā ke bāre meṅ bhī kahā jāegā, “In kī paidāish yihīṅ huī hai.”
 
Lekin Siyyūn ke bāre meṅ kahā jāegā, “Har ek bāshindā us meṅ paidā huā hai. Allāh T'ālā ḳhud use qāym rakhegā.”
Jab Rab aqwām ko kitāb meṅ darj karegā to wuh sāth sāth yih bhī likhegā, “Yih Siyyūn meṅ paidā huī haiṅ.” (Silāh)
Aur log nāchte hue gāeṅge, “Mere tamām chashme tujh meṅ haiṅ.”