93
Allāh Abadī Bādshāh Hai
Rab Bādshāh hai, wuh jalāl se mulabbas hai. Rab jalāl se mulabbas aur qudrat se kamarbastā hai. Yaqīnan duniyā mazbūt buniyād par qāym hai, aur wuh nahīṅ ḍagmagāegī.
 
Terā taḳht qadīm zamāne se qāym hai, tū azal se maujūd hai.
Ai Rab, sailāb garaj uṭhe, sailāb shor machā kar garaj uṭhe, sailāb ṭhāṭheṅ mār kar garaj uṭhe.
Lekin ek hai jo gahre pānī ke shor se zyādā zorāwar, jo samundar kī ṭhāṭhoṅ se zyādā tāqatwar hai. Rab jo bulandiyoṅ par rahtā hai kahīṅ zyādā azīm hai.
 
Ai Rab, tere ahkām har tarah se qābil-e-etamād haiṅ. Terā ghar hameshā tak quddūsiyat se ārāstā rahegā.