94
Qaum par Zulm Karne Wāloṅ se Rihāī ke lie Duā
Ai Rab, ai intaqām lene wāle Ḳhudā! Ai intaqām lene wāle Ḳhudā, apnā nūr chamkā.
Ai duniyā ke munsif, uṭh kar maġhrūroṅ ko un ke āmāl kī munāsib sazā de.
Ai Rab, bedīn kab tak, hāṅ kab tak fatah ke nāre lagāeṅge?
 
Wuh kufr kī bāteṅ ugalte rahte, tamām badkār sheḳhī mārte rahte haiṅ.
Ai Rab, wuh terī qaum ko kuchal rahe, terī maurūsī milkiyat par zulm kar rahe haiṅ.
Bewāoṅ aur ajnabiyoṅ ko wuh maut ke ghāṭ utār rahe, yatīmoṅ ko qatl kar rahe haiṅ.
Wuh kahte haiṅ, “Yih Rab ko nazar nahīṅ ātā, Yāqūb kā Ḳhudā dhyān hī nahīṅ detā.”
 
Ai qaum ke nādāno, dhyān do! Ai ahmaqo, tumheṅ kab samajh āegī?
Jis ne kān banāyā, kyā wuh nahīṅ suntā? Jis ne āṅkh ko tashkīl diyā kyā wuh nahīṅ deḳhtā?
10 Jo aqwām ko tambīh kartā aur insān ko tālīm detā hai kyā wuh sazā nahīṅ detā?
11 Rab insān ke ḳhayālāt jāntā hai, wuh jāntā hai ki wuh dam-bhar ke hī haiṅ.
 
12 Ai Rab, mubārak hai wuh jise tū tarbiyat detā hai, jise tū apnī sharīat kī tālīm detā hai
13 tāki wuh musībat ke dinoṅ se ārām pāe aur us waqt tak sukūn se zindagī guzāre jab tak bedīnoṅ ke lie gaṛhā taiyār na ho.
14 Kyoṅki Rab apnī qaum ko radd nahīṅ karegā, wuh apnī maurūsī milkiyat ko tark nahīṅ karegā.
15 Faisle dubārā insāf par mabnī hoṅge, aur tamām diyānatdār dil us kī pairawī kareṅge.
 
16 Kaun sharīroṅ ke sāmne merā difā karegā? Kaun mere lie badkāroṅ kā sāmnā karegā?
17 Agar Rab merā sahārā na hotā to merī jān jald hī ḳhāmoshī ke mulk meṅ jā bastī.
18 Ai Rab, jab maiṅ bolā, “Merā pāṅw ḍagmagāne lagā hai” to terī shafqat ne mujhe saṅbhālā.
19 Jab tashwīshnāk ḳhayālāt mujhe bechain karne lage to terī tasalliyoṅ ne merī jān ko tāzādam kiyā.
 
20 Ai Allāh, kyā tabāhī kī hukūmat tere sāth muttahid ho saktī hai, aisī hukūmat jo apne farmānoṅ se zulm kartī hai? Hargiz nahīṅ!
21 Wuh rāstbāz kī jān lene ke lie āpas meṅ mil jāte aur bequsūroṅ ko qātil ṭhahrāte haiṅ.
22 Lekin Rab merā qilā ban gayā hai, aur merā Ḳhudā merī panāh kī chaṭān sābit huā hai.
23 Wuh un kī nāinsāfī un par wāpas āne degā aur un kī sharīr harkatoṅ ke jawāb meṅ unheṅ tabāh karegā. Rab hamārā Ḳhudā unheṅ nest karegā.