95
Parastish aur Farmāṅbardārī kī Dāwat
Āo, ham shādiyānā bajā kar Rab kī madahsarāī kareṅ, ḳhushī ke nāre lagā kar apnī najāt kī chaṭṭān kī tamjīd kareṅ!
Āo, ham shukrguzārī ke sāth us ke huzūr āeṅ, gīt gā kar us kī satāish kareṅ.
Kyoṅki Rab azīm Ḳhudā aur tamām mābūdoṅ par azīm Bādshāh hai.
Us ke hāth meṅ zamīn kī gahrāiyāṅ haiṅ, aur pahāṛ kī bulandiyāṅ bhī usī kī haiṅ.
Samundar us kā hai, kyoṅki us ne use ḳhalaq kiyā. Ḳhushkī us kī hai, kyoṅki us ke hāthoṅ ne use tashkīl diyā.
Āo ham sijdā kareṅ aur Rab apne Ḳhāliq ke sāmne jhuk kar ghuṭne ṭekeṅ.
Kyoṅki wuh hamārā Ḳhudā hai aur ham us kī charāgāh kī qaum aur us ke hāth kī bheṛeṅ haiṅ. Agar tum āj us kī āwāz suno
“To apne diloṅ ko saḳht na karo jis tarah Marībā meṅ huā, jis tarah registān meṅ Massā meṅ huā.
Wahāṅ tumhāre bāpdādā ne mujhe āzmāyā aur jāṅchā, hālāṅki unhoṅ ne mere kām dekh lie the.
10 Chālīs sāl maiṅ us nasl se ghin khātā rahā. Maiṅ bolā, ‘Un ke dil hameshā sahīh rāh se haṭ jāte haiṅ, aur wuh merī rāheṅ nahīṅ jānte.’
11 Apne ġhazab meṅ maiṅ ne qasam khāī, ‘Yih kabhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hoṅge jahāṅ maiṅ unheṅ sukūn detā.’ ”