98
Pūrī Duniyā kā Shāhī Munsif
Rab kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, kyoṅki us ne mojize kie haiṅ. Apne dahne hāth aur muqaddas bāzū se us ne najāt dī hai.
Rab ne apnī najāt kā elān kiyā aur apnī rāstī qaumoṅ ke rūbarū zāhir kī hai.
Us ne Isrāīl ke lie apnī shafqat aur wafā yād kī hai. Duniyā kī intahāoṅ ne sab hamāre Ḳhudā kī najāt dekhī hai.
Ai pūrī duniyā, nāre lagā kar Rab kī madahsarāī karo! Āpe meṅ na samāo aur jashn manā kar hamd ke gīt gāo!
Sarod bajā kar Rab kī madahsarāī karo, sarod aur gīt se us kī satāish karo.
Turam aur narsingā phūṅk kar Rab Bādshāh ke huzūr ḳhushī ke nāre lagāo!
Samundar aur jo kuchh us meṅ hai, duniyā aur us ke bāshinde ḳhushī se garaj uṭheṅ.
Dariyā tāliyāṅ bajāeṅ, pahāṛ mil kar ḳhushī manāeṅ,
wuh Rab ke sāmne ḳhushī manāeṅ. Kyoṅki wuh zamīn kī adālat karne ā rahā hai. Wuh insāf se duniyā kī adālat karegā, rāstī se qaumoṅ kā faislā karegā.