99
Quddūs Ḳhudā
Rab Bādshāh hai, aqwām laraz uṭheṅ! Wuh karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai, duniyā ḍagmagāe!
Koh-e-Siyyūn par Rab azīm hai, tamām aqwām par sarbuland hai.
Wuh tere azīm aur purjalāl nām kī satāish kareṅ, kyoṅki wuh quddūs hai.
 
Wuh Bādshāh kī qudrat kī tamjīd kareṅ jo insāf se pyār kartā hai. Ai Allāh, tū hī ne adl qāym kiyā, tū hī ne Yāqūb meṅ insāf aur rāstī paidā kī hai.
Rab hamāre Ḳhudā kī tāzīm karo, us ke pāṅwoṅ kī chaukī ke sāmne sijdā karo, kyoṅki wuh quddūs hai.
 
Mūsā aur Hārūn us ke imāmoṅ meṅ se the. Samuel bhī un meṅ se thā jo us kā nām pukārte the. Unhoṅ ne Rab ko pukārā, aur us ne un kī sunī.
Wuh bādal ke satūn meṅ se un se hamkalām huā, aur wuh un ahkām aur farmānoṅ ke tābe rahe jo us ne unheṅ die the.
Ai Rab hamāre Ḳhudā, tū ne un kī sunī. Tū jo Allāh hai unheṅ muāf kartā rahā, albattā unheṅ un kī burī harkatoṅ kī sazā bhī detā rahā.
Rab hamāre Ḳhudā kī tāzīm karo aur us ke muqaddas pahāṛ par sijdā karo, kyoṅki Rab hamārā Ḳhudā quddūs hai.