10
Sāūl aur Us ke Beṭoṅ kī Maut
Jilbua ke pahāṛī silsile par Filistiyoṅ aur Isrāīliyoṅ ke darmiyān jang chhiṛ gaī. Laṛte laṛte Isrāīlī farār hone lage, lekin bahut log wahīṅ shahīd ho gae.
Phir Filistī Sāūl aur us ke beṭoṅ Yūnatan, Abīnadāb aur Malkīshua ke pās jā pahuṅche. Tīnoṅ beṭe halāk ho gae, jabki laṛāī Sāūl ke irdgird urūj tak pahuṅch gaī. Phir wuh tīrandāzoṅ kā nishānā ban kar zaḳhmī ho gayā. Us ne apne silāhbardār ko hukm diyā, “Apnī talwār miyān se khīṅch kar mujhe mār ḍāl! Warnā yih nāmaḳhtūn mujhe be'izzat kareṅge.” Lekin silāhbardār ne inkār kiyā, kyoṅki wuh bahut ḍarā huā thā. Āḳhir meṅ Sāūl apnī talwār le kar ḳhud us par gir gayā.
Jab silāhbardār ne dekhā ki merā mālik mar gayā hai to wuh bhī apnī talwār par gir kar mar gayā. Yoṅ us din Sāūl, us ke tīn beṭe aur us kā tamām gharānā halāk ho gae. Jab Maidān-e-Yazrael ke Isrāīliyoṅ ko ḳhabar milī ki Isrāīlī fauj bhāg gaī aur Sāūl apne beṭoṅ samet mārā gayā hai to wuh apne shahroṅ ko chhoṛ kar bhāg nikle, aur Filistī chhoṛe hue shahroṅ par qabzā karke un meṅ basne lage.
Agle din Filistī lāshoṅ ko lūṭne ke lie dubārā maidān-e-jang meṅ ā gae. Jab unheṅ Jilbua ke pahāṛī silsile par Sāūl aur us ke tīnoṅ beṭe murdā mile to unhoṅ ne Sāūl kā sar kāṭ kar us kā zirābaktar utār liyā aur qāsidoṅ ko apne pūre mulk meṅ bhej kar apne butoṅ aur apnī qaum ko fatah kī ittalā dī. 10 Sāūl kā zirābaktar unhoṅ ne apne dewatāoṅ ke mandir meṅ mahfūz kar liyā aur us ke sar ko Dajūn Dewatā ke mandir meṅ laṭkā diyā.
11 Jab Yabīs-jiliyād ke bāshindoṅ ko ḳhabar milī ki Filistiyoṅ ne Sāūl kī lāsh ke sāth kyā kuchh kiyā hai 12 to shahr ke tamām laṛne ke qābil ādmī Bait-shān ke lie rawānā hue. Wahāṅ pahuṅch kar wuh Sāūl aur us ke beṭoṅ kī lāshoṅ ko utār kar Yabīs le gae jahāṅ unhoṅ ne un kī haḍḍiyoṅ ko Yabīs ke baṛe daraḳht ke sāye meṅ dafnāyā. Unhoṅ ne rozā rakh kar pūre hafte tak un kā mātam kiyā.
13 Sāūl ko is lie mārā gayā ki wuh Rab kā wafādār na rahā. Us ne us kī hidāyāt par amal na kiyā, yahāṅ tak ki us ne murdoṅ kī rūh se rābitā karne wālī jādūgarnī se mashwarā kiyā, 14 hālāṅki use Rab se dariyāft karnā chāhie thā. Yihī wajah hai ki Rab ne use sazā-e-maut de kar saltanat ko Dāūd bin Yassī ke hawāle kar diyā.