11
Dāūd Pūre Isrāīl kā Bādshāh Ban Jātā Hai
Us waqt tamām Isrāīl Habrūn meṅ Dāūd ke pās āyā aur kahā, “Ham āp hī kī qaum aur āp hī ke rishtedār haiṅ. Māzī meṅ bhī jab Sāūl bādshāh thā to āp hī faujī muhimmoṅ meṅ Isrāīl kī qiyādat karte rahe. Aur Rab āp ke Ḳhudā ne āp se wādā bhī kiyā hai ki tū merī qaum Isrāīl kā charwāhā ban kar us par hukūmat karegā.”
Jab Isrāīl ke tamām buzurg Habrūn pahuṅche to Dāūd Bādshāh ne Rab ke huzūr un ke sāth ahd bāndhā, aur unhoṅ ne use masah karke Isrāīl kā bādshāh banā diyā. Yoṅ Rab kā Samuel kī mārifat kiyā huā wādā pūrā huā.
Dāūd Yarūshalam par Qabzā Kartā Hai
Bādshāh banane ke bād Dāūd tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Yarūshalam gayā tāki us par hamlā kare. Us zamāne meṅ us kā nām Yabūs thā, aur Yabūsī us meṅ baste the. Dāūd ko dekh kar Yabūsiyoṅ ne us se kahā, “Āp hamāre shahr meṅ kabhī dāḳhil nahīṅ ho pāeṅge!”
To bhī Dāūd ne Siyyūn ke qile par qabzā kar liyā jo ājkal ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. Yabūs par hamlā karne se pahle Dāūd ne kahā thā, “Jo bhī Yabūsiyoṅ par hamlā karne meṅ rāhnumāī kare wuh fauj kā kamānḍar banegā.” Tab Yoāb bin Zarūyāh ne pahle shahr par chaṛhāī kī. Chunāṅche use kamānḍar muqarrar kiyā gayā.
Yarūshalam par fatah pāne ke bād Dāūd qile meṅ rahne lagā. Us ne use ‘Dāūd kā Shahr’ qarār diyā aur us ke irdgird shahr ko baṛhāne lagā. Dāūd kā yih tāmīrī kām irdgird ke chabūtaroṅ se shurū huā aur chāroṅ taraf phailtā gayā jabki Yoāb ne shahr kā bāqī hissā bahāl kar diyā. Yoṅ Dāūd zor pakaṛtā gayā, kyoṅki Rabbul-afwāj us ke sāth thā.
Dāūd ke Mashhūr Faujī
10 Darj-e-zail Dāūd ke sūrmāoṅ kī fahrist hai. Pūre Isrāīl ke sāth unhoṅ ne mazbūtī se us kī bādshāhī kī himāyat karke Dāūd ko Rab ke farmān ke mutābiq apnā bādshāh banā diyā.
11 Jo tīn afsar Yoāb ke bhāī Abīshai ke ain bād āte the un meṅ Yasūbiyām Hakmūnī pahle nambar par ātā thā. Ek bār us ne apne neze se 300 ādmiyoṅ ko mār diyā. 12 In tīn afsaroṅ meṅ se dūsrī jagah par Iliyazar bin Dodo bin Aḳhūhī ātā thā. 13 Yih Fas-dammīm meṅ Dāūd ke sāth thā jab Filistī wahāṅ laṛne ke lie jamā ho gae the. Maidān-e-jang meṅ jau kā khet thā, aur laṛte laṛte Isrāīlī Filistiyoṅ ke sāmne bhāgne lage. 14 Lekin Iliyazar Dāūd ke sāth khet ke bīch meṅ Filistiyoṅ kā muqābalā kartā rahā. Filistiyoṅ ko mārte mārte unhoṅ ne khet kā difā karke Rab kī madad se baṛī fatah pāī.
15-16 Ek aur jang ke daurān Dāūd Adullām ke ġhār ke pahāṛī qile meṅ thā jabki Filistī fauj ne Wādī-e-Rafāīm meṅ apnī lashkargāh lagāī thī. Un ke dastoṅ ne Bait-laham par bhī qabzā kar liyā thā. Dāūd ke tīs ālā afsaroṅ meṅ se tīn us se milne āe. 17 Dāūd ko shadīd pyās lagī, aur wuh kahne lagā, “Kaun mere lie Bait-laham ke darwāze par ke hauz se kuchh pānī lāegā?”
18 Yih sun kar tīnoṅ afsar Filistiyoṅ kī lashkargāh par hamlā karke us meṅ ghus gae aur laṛte laṛte Bait-laham ke hauz tak pahuṅch gae. Us se kuchh pānī bhar kar wuh use Dāūd ke pās le āe. Lekin us ne pīne se inkār kar diyā balki use qurbānī ke taur par unḍel kar Rab ko pesh kiyā 19 aur bolā, “Allāh na kare ki maiṅ yih pānī piyūṅ. Agar aisā kartā to un ādmiyoṅ kā ḳhūn pītā jo apnī jān par khel kar pānī lāe haiṅ.” Is lie wuh use pīnā nahīṅ chāhtā thā. Yih in tīn sūrmāoṅ ke zabardast kāmoṅ kī ek misāl hai.
20-21 Yoāb kā bhāī Abīshai mazkūrā tīn sūrmāoṅ par muqarrar thā. Ek dafā us ne apne neze se 300 ādmiyoṅ ko mār ḍālā. Tīnoṅ kī nisbat us kī zyādā izzat kī jātī thī, lekin wuh ḳhud in meṅ ginā nahīṅ jātā thā.
22 Bināyāh bin Yahoyadā bhī zabardast faujī thā. Wuh Qabziyel kā rahne wālā thā, aur us ne bahut dafā apnī mardānagī dikhāī. Moāb ke do baṛe sūrmā us ke hāthoṅ halāk hue. Ek bār jab bahut barf paṛ gaī to us ne ek hauz meṅ utar kar ek sherbabar ko mār ḍālā jo us meṅ gir gayā thā. 23 Ek aur mauqe par us kā wāstā ek Misrī se paṛā jis kā qad sāṛhe sāt fuṭ thā. Misrī ke hāth meṅ khaḍḍī ke shahtīr jaisā baṛā nezā thā jabki us ke apne pās sirf lāṭhī thī. Lekin Bināyāh ne us par hamlā karke us ke hāth se nezā chhīn liyā aur use us ke apne hathiyār se mār ḍālā. 24 Aisī bahādurī dikhāne kī binā par Bināyāh bin Yahoyadā mazkūrā tīn ādmiyoṅ ke barābar mashhūr huā. 25 Tīs afsaroṅ ke dīgar mardoṅ kī nisbat us kī zyādā izzat kī jātī thī, lekin wuh mazkūrā tīn ādmiyoṅ meṅ ginā nahīṅ jātā thā. Dāūd ne use apne muhāfizoṅ par muqarrar kiyā.
26 Zail ke ādmī bādshāh ke sūrmāoṅ meṅ shāmil the.
Yoāb kā bhāī Asāhel, Bait-laham kā Ilhanān bin Dodo, 27 Sammot Harorī, Ḳhalis Falūnī, 28 Taqua kā Īrā bin Aqqīs, Anatot kā Abiyazar, 29 Sibbakī Hūsātī, Īlī Aḳhūhī, 30 Mahrī Natūfātī, Halid bin Bānā Natūfātī, 31 Binyamīnī shahr Jibiyā kā Ittī bin Rībī, Bināyāh Fir'ātonī 32 Nahle-jās kā Hūrī, Abiyel Arbātī, 33 Azmāwat Bahrūmī, Iliyahbā Sa'ālbūnī, 34 Hashīm Jizūnī ke beṭe, Yūnatan bin Shajī Harārī, 35 Aḳhiyām bin Sakār Harārī, Ilīfal bin Ūr, 36 Hifar Makīrātī, Aḳhiyāh Falūnī, 37 Hasro Karmilī, Nārī bin Azbī, 38 Nātan kā bhāī Yoel, Mibḳhār bin Hājirī, 39 Silaq Ammonī, Yoāb bin Zarūyāh kā silāhbardār Nahrī Bairotī, 40 Īrā Itrī, Jarīb Itrī, 41 Ūriyāh Hittī, Zabad bin Aḳhlī, 42 Adīnā bin Sīzā (Rūbin ke qabīle kā yih sardār 30 faujiyoṅ par muqarrar thā), 43 Hanān bin Mākā, Yūsafat Mitnī, 44 Uzziyāh Astarātī, Ḳhūtām Aroīrī ke beṭe Samā aur Ya'iyel, 45 Yadiyael bin Simrī, us kā bhāī Yūḳhā Tīsī, 46 Iliyel Mahāwī, Ilnām ke beṭe Yarībī aur Yūsāwiyāh, Yitmā Moābī, 47 Iliyel, Obed aur Yāsiyel Mazobāī.