3
Rūt kī Shādī kī Koshisheṅ
1 Ek din Naomī Rūt se muḳhātib huī, “Beṭī, maiṅ āp ke lie ghar kā band-o-bast karnā chāhtī hūṅ, aisī jagah jahāṅ āp kī zarūriyāt āindā bhī pūrī hotī raheṅgī.
2 Ab dekheṅ, jis ādmī kī naukarāniyoṅ ke sāth āp ne bāleṅ chunī haiṅ wuh hamārā qarībī rishtedār hai. Āj shām ko Boaz gāhne kī jagah par jau phaṭkegā.
3 To sun leṅ, achchhī tarah nahā kar ḳhushbūdār tel lagā leṅ aur apnā sab se ḳhūbsūrat libās pahan leṅ. Phir gāhne kī jagah jāeṅ. Lekin use patā na chale ki āp āī haiṅ. Jab wuh khāne-pīne se fāriġh ho jāeṅ
4 to dekh leṅ ki Boaz sone ke lie kahāṅ leṭ jātā hai. Phir jab wuh so jāegā to wahāṅ jāeṅ aur kambal ko us ke pairoṅ se utār kar un ke pās leṭ jāeṅ. Bāqī jo kuchh karnā hai wuh āp ko usī waqt batāegā.”
5 Rūt ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai. Jo kuchh bhī āp ne kahā hai maiṅ karūṅgī.”
6 Wuh apnī sās kī hidāyat ke mutābiq taiyār huī aur shām ke waqt gāhne kī jagah par pahuṅchī.
7 Wahāṅ Boaz khāne-pīne aur ḳhushī manāne ke bād jau ke ḍher ke pās leṭ kar so gayā. Phir Rūt chupke se us ke pās āī. Us ke pairoṅ se kambal haṭā kar wuh un ke pās leṭ gaī.
8 Ādhī rāt ko Boaz ghabrā gayā. Ṭaṭol ṭaṭol kar use patā chalā ki pairoṅ ke pās aurat paṛī hai.
9 Us ne pūchhā, “Kaun hai?” Rūt ne jawāb diyā, “Āp kī ḳhādimā Rūt. Merī ek guzārish hai. Chūṅki āp mere qarībī rishtedār haiṅ is lie āp kā haq hai ki merī zarūriyāt pūrī kareṅ. Mehrbānī karke apne libās kā dāman mujh par bichhā kar zāhir kareṅ ki mere sāth shādī kareṅge.”
10 Boaz bolā, “Beṭī, Rab āp ko barkat de! Ab āp ne apne susrāl se wafādārī kā pahle kī nisbat zyādā izhār kiyā hai, kyoṅki āp jawān ādmiyoṅ ke pīchhe na lagīṅ, ḳhāh ġharīb hoṅ yā amīr.
11 Beṭī, ab fikr na kareṅ. Maiṅ zarūr āp kī yih guzārish pūrī karūṅga. Āḳhir tamām maqāmī log jān gae haiṅ ki āp sharīf aurat haiṅ.
12 Āp kī bāt sach hai ki maiṅ āp kā qarībī rishtedār hūṅ aur yih merā haq hai ki āp kī zarūriyāt pūrī karūṅ. Lekin ek aur ādmī hai jis kā āp se zyādā qarībī rishtā hai.
13 Rāt ke lie yahāṅ ṭhahreṅ! Kal maiṅ us ādmī se bāt karūṅga. Agar wuh āp se shādī karke rishtedārī kā haq adā karnā chāhe to ṭhīk hai. Agar nahīṅ to Rab kī qasam, maiṅ yih zarūr karūṅga. Āp subah ke waqt tak yihīṅ leṭī raheṅ.”
14 Chunāṅche Rūt Boaz ke pairoṅ ke pās leṭī rahī. Lekin wuh subah muṅh andhere uṭh kar chalī gaī tāki koī use pahchān na sake, kyoṅki Boaz ne kahā thā, “Kisī ko patā na chale ki koī aurat yahāṅ gāhne kī jagah par mere pās āī hai.”
15 Rūt ke jāne se pahle Boaz bolā, “Apnī chādar bichhā deṅ!” Phir us ne koī bartan chhih dafā jau ke dānoṅ se bhar kar chādar meṅ ḍāl diyā aur use Rūt ke sar par rakh diyā. Phir wuh shahr meṅ wāpas chalā gayā.
16 Jab Rūt ghar pahuṅchī to sās ne pūchhā, “Beṭī, waqt kaisā rahā?” Rūt ne use sab kuchh sunāyā jo Boaz ne jawāb meṅ kiyā thā.
17 Rūt bolī, “Jau ke yih dāne bhī us kī taraf se haiṅ. Wuh nahīṅ chāhtā thā ki maiṅ ḳhālī hāth āp ke pās wāpas āūṅ.”
18 Yih sun kar Naomī ne Rūt ko tasallī dī, “Beṭī, jab tak koī natījā na nikle yahāṅ ṭhahar jāeṅ. Ab yih ādmī ārām nahīṅ karegā balki āj hī muāmale kā hal nikālegā.”